Chahat is duniya main kuch bhi kar sakti hai, Insaan ko darinda aur darinde ko insaan bana sakti hai. Chahat..... Chahat palat sakti hai badshahoon ke taazo takht, Mom kar deti hai woh dil jo hote hain sakht. Chahat...... Chahat ban sakti hai kissi besahare ka sahara, Laga sakti hai kissi bhul bhatke ki naaon ko kinara. Chahat..... Chahat ke saamne bade badoon ne sar jhukaya hai, Aakhir chahat karne waloon ko kaun rok paya hai. Chahat..... Yaroon, yeh sab haqiqat hai nahi koi kahani, Jisse ho jaye kissi se chahat woh ban jaati hai uski zindgani! Chahat.....