Jab se tumko dekha hai, Main khoya khoya sa rehta hoon. Raat ho ya din, Bus tumhare khayaloon main khoya rehta hoon. Jab se tumko dekha hai, Main khoya khoya sa rehta hoon. Jab se tumko dekha hai, Har phool har kali main bus tum hi tum nazar aati ho, In phollon ko niharne ke liye main ghantoon chaman main baitha rehta hoon. Jab se tumko dekha hai, Main khoya khoya sa rehta hoon. Jab se tumko dekha hai, Ek darr sab hi dil main samaya hai, Ki kahin tumse bichad na jaon. Us judai ke bare main soch soch kar, Main man hi man main roya karta hoon. Jab se tumko dekha hai, Main khoya khoya sa rehta hoon.