Skip to main content

Posts

Showing posts from April, 2011

Jee Lo!!!

Aaj phir hai naya din nayi subah, Dil mein bharke nayi umang, Kar lo apne har sapne ko sach, Bharo jeevan main indradhanush ke rang. Jo beet gaya woh kal tha, Chod do woh beeta pal wahin par, Aaj bad jao tum aage Seene main bharke josh, ek naye path par. Jo aane wala hai kal, Uski nahi hai kisiko khabar, Kal kya hona hai, Uski kyun karteho fikar. Jo beet gayi woh kal ki guzari baat hai Guzare pal pe kabhi aanso na bahana Jo aane wala hai kal, woh nayi saugat hai, Aane waale kal ki fikar main aaj ko na gawana. Jeevan to hai bus is pal mein Jo kal kiya nahi , aaj karke aazmalo Aaj hi hai bus tumhare bus main Hans lo, ga lo, muskura lo.