Yeh jeevan hai kya ek kavi ki abhivyakti!!!! Shanth van main koyal ki koo koo, Jharne se girte paani ki kal kal, Yeh van ka swach nirmal jeevan hai kya, Ek kavi ki abhivyakti!! Madhushala main saaki baala pila rahi sabko hala, Madmast jhoom raaha hai har peene wala, Yeh madhu ki maadakta, yeh madhushala hai kya, Ek kavi ki abhivyakti!! Laga mastak par tilak chala veer rannbhumi ko, Karne apni maatrabhumi ki rakhsha, Yeh shaurya, matrabhumi se prem hai kya, Ek kavi ki abhivyakti!! Din pratidin manush apni kathinaiyoon se jhoojhta hua, Kabhi girta kabhi gir ke sambhalta hua, Yeh jeevan ka parishram hai kya, Ek kavi ki abhivyakti!! Prem main mantra mugdh vyakti ka vyavhaar, Preysi se milne ka vyakulta se intezaar, Yeh milan ki pyaas, yeh prem hai kya, Ek kavi ki abhivyakti!! Kavi to woh hai is sansaar ka rachiyata, Usne hi to diya har kann ko jeevan, Yeh jeevan, yeh sansaar hai kya, Us sarvashreshta kavi ki abhivyakti!!...