Skip to main content

Posts

Zakhm

Khudgarz 1 hai woh, Ek baar woh tumse lag jaaye, To dene wale ki lamha lamha yaad dilata hai. Ziddi hai woh, Tum bhulna chaho usko, To woh naaraj ho jaata hai. Aur chilla-chilla ke apne hone ka ehsaas dilata hai, Phir bhi agar uspe dhyaan na do to, Naasoor ban tumse chipak jaata hai. Akela hai woh, Usse to bus do pal ka saath chahiye, Ek pyaar bhara subuk 2 lams 3 mil jaaye to, To woh chala jaata hai, Kissi aur humsafar ki justaju 4 main. Ajeeb hai woh, Kissi ko pyaar do, to woh tumse lipat jaata hai, Aur yeh hai ki pyaar pate hi chod jaata hai. Jazbaati 5 hai woh, Shayad yehi kehna chahta hai ki, Jisne isse diya hai, usko phir lauta dene se, Khudka dard kam na hoga. Jaate-jaate bhi yeh tumhare paas, Ek nishani chod jaata hai, Ki tum use kabhi bhula na pao Kuch baat hai isme, Dilchasp 6 hai yeh Zakhm!! 1 khudgarz – matlabi (selfish) 2 subuk – komal (soft) 3 lams – sparsh (touch) 4 justaju – talas...

Nazm

Misra 1 -misra jod kar ek nazm 2 banti hai, Nazm ki apni hasti hoti hai, Woh kuch betukke alfazon 3 ki jugalbandi nahi, Woh ehsaason ki zindagi hoti hai. Woh ehasaas jo jeete bhi us nazm main hain Aur mar bhi jaate hain, Gumnaam, akele, tanha, duniya se bekhabar. Phir koi bhula bisra, Uss nazm ko apne haath mein leker, Uske alfazon ko sehlata hai, Uske  chuppe maayanon 4 ko mehsoos karta hai. Nazm ke misron ko dohrata hai, gungunata hai. Apni ahmiyat ko uss shakhs par chod, Nazm phir se zinda ho jaati hai Un ehsaason ko jee leti hai Hans leti hai , ro leti hai. Nazm ki apni hasti hoti hai, Woh ehsaason ki zindagi hoti hai. 1 misra – do panktiyaan (couplet) 2 nazm – kavita (poem) 3 alfazon – shabd (words) 4 mayanon – bhaav/arth (sense)

Marusthala

Ek raahi apni manzil ki talash main, Marusthala main bhatak raha tha, Badi mashaqat karta apni manzil paane ki, Par manzilein thi, jaise marusthala main mrig-trishna. Har peer-paigambar, saadhu-santh, Masjid- mandir ke saamne apna maatha tek aaya woh, Par jisse dil chahta tha woh mil nahi paaya. Ab to bus yeh aas laga baitha hai woh ki, Iss marusthala main kahin usse koi thikana mile, Jahan woh sukoon se kuch pal guzar sake, Koi musafir jisse woh apna humsafar bana sake. Musafir bahut aaye aur chale gaye, Humsafar banne se pehle hi unki rahein badal gayi. Toofan bhi aaye to uss mod pe, Jahan thehar woh apna aashiyana banane wala tha. Uske chotte se shamiyane ko ek jhonka uda le gaya, Chod gaya marubhumi main usse tanha, akela. Ab to usse yeh bhi pata nahi ki jaana kidhar hai, Hai koi dagar ya bhatakna idhar hai, Charon taraf hai ret hi ret. Umeed hai ki marusthala ke uss paar, Koi hoga intezaar main uske, Raahi to bus chalta jaa raha hai...

Little Sweetheart!!!!!

This poem is dedicated to the most beautiful baby God has ever created. Our little sweetheart, Yuvika Ajmera. Thanks a lot bhaiya and bhabhi to bring her to our lives. Little Sweetheart A strange feeling of anticipation, Heart filled with mixed emotion. A wait long enough, To pass long days and nights rough. A sweet pain to bear, But the happiness ahead makes all clear. The arrival of someone is awaited, The most beautiful thing god ever created. In a beautiful cradle she will arrive, To light up our life. Her smile would bring the cheer, Our little sweetheart will be so dear. Love  Priyank

Sochta hoon!!!

Jab kabhi woh naaraj hoti hai , to lagta hai kyun aisa hota hai ki dil ussi ko thes pahuncha deta hai jisse kabhi nahi pahunchana chahta hai . Par shayad duniya main aisa hi hota hai !!! Tera gussa bhi jayaz hai aur teri naarajgi bhi , Pata nahi kab thik se yeh sab samajh paunga kabhi. Kuch naadaniyaan hain , kuch bewkoofian, Sochta hoon ki kya main sudhar paunga kabhi. Tujhe dard diya hai, kya maraham bhi ban paunga kabhi Teri udaasi ko , khushi main badal paunga kabhi. Tamanaa hai ki tere ashruon ko muskurahat main badal doon Sochta hoon kya yeh sab main kar paunga kabhi.

Main kya sochta hoon!!!

Main chaman ko dekh jannat sochta hoon. Main marghat ko dekh jeevan sochta hoon. Main sarhad ki duuri ko dil ki nazdiki sochta hoon. Main raaste ko ek manzil sochta hoon. Main khawabon ko dekh haqeeqat sochta hoon. Main sanaton ko bhi sangeet sochta hoon. Main toofan ko bhi ek pawan sochta hoon. Main andheroon ko bhi roshni sochta hoon. Main takleef ko bhi mazak sochta hoon. Main mazak ko bhi taqdeer sochta hoon. Main tanhai ko bhi saathi sochta hoon. Main hansi ko bhi ek chalawa sochta hoon. Main ghum ko bhi ek zaroorat sochta hoon. Main dimaag ki jagah dil se sochta hoon. Main kya batalaon main kya sochta hoon. Main yahi soch soch ke bahut sochta hoon.

Ehsaas

Dil ki hasratoon ko dabane se unka zor kam nahi hota, Ehsaason ko chupane se unka dard kam nahi hota, Bhulana to lakh chahte hain apni uljhanoon ko, Par bina uljhan ki aasan zindagi main woh maza nahi hota. Har waqt dil-o-dimaag pe apna bus nahi hota, Kabhi dil dimaag pe , kabhi dimaag dil pe hai haavi hota, Agar suljha pata insaan is dvand ko, To insaan , insaan nahi khuda hota. Har nayi shuruaat se pehle jo dil ka ghabrana nahi hota, Bhavishya ki soch ke uska kasmasana nahi hota, To zindagi theher gayi hoti  ek jheel ke paani ki tarah Usse samandar ki lahroon ka  chatanoon ka takrana  mehsoos nahi hota. Har naye ehsaas se dil ghabrata hai, Kyunki  usse aane wale pal par bharosa nahi hota, Ek baar  uss ehsaas ko aankhen mund ke mehsoos karo, Har ehsaas begaana nahi hota.