Jab kabhi woh naaraj hoti hai , to lagta hai kyun aisa hota hai ki dil ussi ko thes pahuncha deta hai jisse kabhi nahi pahunchana chahta hai . Par shayad duniya main aisa hi hota hai !!!
Tera
gussa bhi jayaz hai aur teri naarajgi bhi ,
Pata nahi kab thik se yeh sab samajh paunga kabhi.
Kuch naadaniyaan hain , kuch bewkoofian,
Sochta hoon ki kya main sudhar paunga kabhi.

Tujhe
dard diya hai, kya maraham bhi ban paunga kabhi
Teri udaasi ko , khushi main badal paunga kabhi.
Tamanaa hai ki tere ashruon ko muskurahat main badal doon
Sochta hoon kya yeh sab main kar paunga kabhi.

Comments