Yeh
jeevan hai kya ek kavi ki abhivyakti!!!!
Shanth
van main koyal ki koo koo,
Jharne
se girte paani ki kal kal,
Yeh
van ka swach nirmal jeevan hai kya,
Ek
kavi ki abhivyakti!!
Madhushala
main saaki baala pila rahi sabko hala,
Madmast
jhoom raaha hai har peene wala,
Yeh
madhu ki maadakta, yeh madhushala hai kya,
Ek
kavi ki abhivyakti!!
Laga
mastak par tilak chala veer rannbhumi ko,
Karne
apni maatrabhumi ki rakhsha,
Yeh
shaurya, matrabhumi se prem hai kya,
Ek
kavi ki abhivyakti!!
Din
pratidin manush apni kathinaiyoon se jhoojhta hua,
Kabhi
girta kabhi gir ke sambhalta hua,
Yeh
jeevan ka parishram hai kya,
Ek
kavi ki abhivyakti!!
Prem
main mantra mugdh vyakti ka vyavhaar,
Preysi
se milne ka vyakulta se intezaar,
Yeh
milan ki pyaas, yeh prem hai kya,
Ek
kavi ki abhivyakti!!
Kavi
to woh hai is sansaar ka rachiyata,
Usne
hi to diya har kann ko jeevan,
Yeh
jeevan, yeh sansaar hai kya,
Us
sarvashreshta kavi ki abhivyakti!!
Comments
magar ek baar samajh lo toh kavi ki taarif kiye bina nahi raha jaata.
Mujhe iss Kavi ki abhivyakti ne sam-mohit kar diya ...