Jab
kabhi kissi se doori, bardaasht nahi hoti , aur milne ki chaahat dil
ko bekaraar kar deti hai. Aise mein jab woh aapke saamne aa jaye to
dil jhoom uhta hai. Aur aap madhosh ho jaate hain. Aisi hi ek mulaqat
ki daastaaan bayaan kar raha hoon.
Badi muddat se aap se milne ki khwahish thi,
Dil ke jharokhe main gham ka nasha sa cha gaya tha,
Aaj aapke saath do lamhe kya gujare,
Mohhabat ki galiyoon main baharon ka mausam aa gaya.
Aap ne hume in khoobsurat nigahoon se kya dekha,
Yun laga , in nigahoon main doob kar ji lenge,
Aapke ashkhon ko pee kar,
Aapke labon ko hasin muskurahat denge,
Izazat chahtha hoon in palkoon main kaid hone ki,
Aapke dil-e samundar main doob jaane ki.
Humne apne dil main bhi ek chhota sa aashiyaana banaya hai,
Aapko uska sartaaz banaya hai,
Ho sake to humari is khawhish par gaur farmaiye,
In mulaqatooon ke liye hume aur mat tarsaiye!
Aap humare aagosh main aake, humari bahoon main kho jaiye.

Comments